Tujhse Naaraaz Nahiin Zindagi
Hairaan Hoon Main
O Hairaan Huun Main
Tere Masum Sawaalon Se Pareshaan Hoon Main
O Pareshaan Hoon Main
Jeene Ke Liye Sochaa Hi Nahi
Dard Sambhaalane Honge
Jeene Ke Liye Sochaa Hi Nahi
Dard Sambhaalane Honge
Muskuraaye To, Muskuraane Ke Karz Utarne Honge
Muskuraauun Kabhii To Lagataa Hai
Jaise Honthon Pe Karz Rakhaa Hai
Ho Tujhse Naaraaz Nahiin Zindagi
Hairaan Hoon Main
O Hairaan Huun Main
[Zindagii Tere Gam Ne Hamein
Rishte Naye Samajhaaye ]2
Mile Jo Hamein Dhoop Mein Mile
Chaanv Ke Thande Saaye
Ho Tujhse Naaraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
O Hairaan Huun Main
Aaj Agar Bhar Aai Hain
Boondein Baras Jaayengi
Kal Kyaa Pataa Inke Liye
Aankhein Taras Jaayengi
Jaane Kab Gum Kahaan Khoyaa
Ek Ansuun Chhupaake Rakhaa Thaa
Ho Tujhse Naaraaz Nahin Zindagi
Hairaan Hoon Main
O Hairaan Huun Main
Tere Masum Sawaalon Se Pareshaan Hoon Main
O Pareshaan Hoon Main 3
No comments:
Post a Comment